Showing posts with label Funny Zubaida Aapa Jokes. Show all posts
Showing posts with label Funny Zubaida Aapa Jokes. Show all posts

CIVIL ENGINEERING - FUNNY ZUBAIDA AAPA JOKES

"Agar aap k bachay zyada matti khatay hein to,
.
.
.
Unhein thorri cement b khila dein to bunyad pakki ho jaye gi."

Zubaida aapa k "CIVIL ENGINEERING" walay totkay.

AATANG WAADI TOTKAY - HILARIOUS JOKES

Apnay uppar mitti ka tail daal kar aag laga di jaey to sardi nahi lagti.
,
,
,
Aur na hi kambal lenay ki zuroorat paish aati hai.
.
.
.
Zubaida aapa k "Aatang Waadi" totkay..,

FUNNY URDU JOKES - GHALAT FEHMI

Larki: Main jab bhi tumhen call karun tum shave kar rahe hote ho. Tum din mein kitni dafa shave karte ho?
Larka: Yehi koi 30, 40 dafa.
Larki: Kya tum pagal ho?
Larka: Nahin. Main naai hun!

FUNNY URDU JOKES -DOSTI KA HAATH

Kisi ki taraf dosti ka haath fauran na barhao...
.
.
.
.
.
.
.
Ho sakta hai wo usi waqt washroom se aya ho!

(-_-)   From
<] [> Commander
_/"/_ Safeguard

FUNNY URDU JOKES - SARDAR AND BACHI

1st Sardar: Oye yaaaaaaaaar! Bachi check kar...
2nd Sardar: Oye! Wo meri baaji hai.
1st Sardar: Oh, sorry yar. Baji check kar!
2nd Sardar: Qasmay tabaayi ay yaaaaaaaaaaaaaar!

FUNNY URDU JOKES - DOOBTA SHEIKH

Do sheikhon ne sumandar ke kinaray board laga hua dekha:

"DOOBTAY KO BACHANAY WALY KO 500 RUPAY INAAM!"

Pehla Sheikh: Mujhe tairna nahin aata. Main chhalang lagata hun. Tum mujhe bacha lena. Paise aadhe aadhe kar len gay.
Pehlay Sheikh ne chhalang lagai to doosra khamoshi se dekhta raha. Pehlay ne cheekh kar kaha:
Tum mujhe bachate kyun nahin?
Doosra Sheikh muskra kar bola:
Tum ne board ke neechay to parha hi nahin...

"LAASH NIKALNAY WALY KO 1000 RUPAY INAAM!"

FUNNY URDU JOKES - SHEEDAY KI MAA

Teacher (blackboard par M likhty howy): Sheeday, ye kia hy...?
Sheeda: Pata nhi
Teacher: Ye M hy. M sy MOTHER , jesy Feeqay ki maa.

Agly din....
Teacher (blackboard par W likhty howy): Sheeday, ye kia hy ?
Sheeda (sochty howy): Lagti to Feeqay ki maa hy par aaj taangen upar kar ke leti hy....!!!

PANAH - FUNNY URDU JOKES

Doosri jang-e-azeem k zamanay mein jab Germanon ne London per bambaari ki to zyada tar log panah lenay k liye zameen doz panah gaahon mein pohnch gaye.
.
.
.
Aik aisi hi panah gaah mein jhanktay huye shehri difaa k aik karkun ne chilla kar kaha: "Yaha koi bacha mojood hai?"
.
.
.
Pal bhar ki khamoshi k baad aik aurat ki aawaaz aaee: "Hamein panah liye huye abhi chand minute hi huye hein."

THANDAY GARAM TOTKAY - HUMOROUS SMS JOKES

Aik glass mein thanda pani lein,
,
,
,
Aur ussay apnay qareeb bethay huye shakhs pe daal dein.
.
.
.
Woh thanda pani ussay garam kar day ga,
,,,
,,,
,,,
Aur woh uth kar aap ko thanda karday ga...
...
...
,
...
...
Zubaida aapa k thanday garam totkay..!

LAZEEZ TOTKAY - HILARIOUS ZUBAIDA AAPA JOKES

Agar nazlay aur khansi k saath saath namkeen balghum bhi aa raha ho to thorri si cheeni kha lein.
,.,
,.,
,.,
Uss se aap ko,
,
,
,
Rabri ka maza aaye ga.
.,.
.,.
.,.
Zubaida aapa k "Lazeez" totkay.

COLD CREAM - FUNNY SMS JOKES

Sardion mein skin khushk ho jaye to pani mein haldi or milk powder dal k ubal lein.
.
.
.
Thanda ho jaey to dahi makhan daal k mixture ko oven mein rakh dein.
.
.
.
Kuch dair baad nikal k uss mein garam pani daal k phaint lein,
,
,
,
Jab woh sahi paste ban jaye to phaink dein or munh par "Cold Cream" laga lein.
.,.
.,.
.,.
Zubaida aapa k faltu totkay.

SHETANI TOTKAY - FUNNY ZUBAIDA AAPA JOKES

"Agar koi bacha har waqat naak mein ungli daalay rakhta hai.
,,,
,,,
,,,
To ussay bina elastic wali nikar pehna dein.
.
.
.
Youn woh dono haathon se apni nikar sambhalnay ki wajah se...
,
Naak mein ungli dalna bhool jaey ga.
,.,
,.,
,.,
Zubaida aapa k shetani totkay!"

COMPUTERIZED TOTKAY - HUMOROUS JOKES

Agar aap k P.C ka motherboard kharab ho gaya hai to fatherboard se kaam chala lo.
.,.
.,.
.,.
.,.
.,.
Zubaida aapa k computerized totkay…!

IBRAT NAAK TOTKAY - HILARIOUS JOKES

Agar aap k khanay mein makhi gir jaye to ussay nikal kar itna chabaiye,
...
...
...
K kisi aur makhi ki jurrat na ho aap k khanay ki taraf aannay ki.
,,,
,,,
,,,
,,,
,,,
Zubaida aapa k ibrat naak totkay...

ENGRO UREA - HUMOROUS JOKES

Agar sar par baal na nikal rahay hon to sar pe Engro Urea lagaein.
.'.
.'.
.'.
Jab urea zameen se kaddu nikal sakta hai to kaddu jaisay sar se baal kion nahi.
,.,
,.,
,.,
Zubaida aapa k zaraeyi totkay…

GIRLFRIEND - HILARIOUS JOKES

Dost k peechay matt bhago,

Agar bhagna hai to dost ki "Girlfriend" k peechay bhago...
,.,
,.,
,.,
Dost sab kam chorr k tumharay peechay bhaagay ga.
,,
,,
,,
Zubaida aapa k aqalmandana totkay.

BACHAT - HUMOROUS ZUBAIDA AAPA JOKE

Agar behti huee naak ko shuuuuuurrrrrr kar k uppar charha liya jaye to,
.,.
.,.
.,.
Romaal hamesha saaf rehta hai.
,,,
,,,
,,,
,,,
,,,
(Zubaida aapa k rasilay totkay…)

QASAABI TOTKAY - HILARIOUS JOKE

"Agar paaon zyada thanday hon to paaon kaat k heater pe 10 minutes k liye rakh dein, sardi nahi lagay gi."
...
...
...
...
...
Zubaida aapa k qasaabi totkay.

MULK BACHAO TOTKAY - FUNNY ZUBAIDA AAPA JOKE

Jiss guard ne Salman Taseer ko kuttay ki mout mara hai,

Aisa guard Zardari (kuttay) ko bhi diya jaye.




Zubaida aapa k mulk bachao totkay.

PYAR PAO TOTKAY - FUNNY ZUBAIDA AAPA K TOTKAY

Agar apna pyar pana chatay ho to apni tabiyat kharab kar lo,

Aur behoshi k aalam mein apnay ghar walon k samnay uss ka hi naam letay raho.

(Zubaida aapa k pyaar pao totkay.)