Showing posts with label Funny Urdu/Hindi Jokes. Show all posts
Showing posts with label Funny Urdu/Hindi Jokes. Show all posts

GANDA TOWEL - VERY VERY FUNNY PATHAN JOKES

Pathan 👨: "Mara hum ko aik bat to btao zara."

Sardar ji 👳: "Pooch."

Pathan 👨: "Soap 🍥 se nahanay 🛀 k baad jab hamara jism saaf ho jata hai to phir towel kesay ganda ho jata hai?"

Sardar ji: "Towel ko woh 1% jaraseem 🐾 gandar kartay hein jo 99% jaraseem 🐾 k mar janay k baad bhi zinda reh jata hai."
😂😂😂

MOTHER TONGUE - HILARIOUS SARDAR JOKES

Sardar 👳 k betay 👶 ne form fill 📄 krtay huye poocha: "Papa mother 👩 tongue 👅 k column mein kya likhoon?"

Sardar ji 👳: "Puttar likh day, very very long & uncontrollable..."
😂😂😂

EHMIYAT = IMPORTANCE - REALLY FUNNY SARDAR JI JOKES

Pathan apnay dost sardar ji 👳 se bola: "Mara tumhari to ghar 🏠 mein bhi koi nhi sunta."

Sardar ji 👳: "O nhi yara, ghar 🏠 mein meri bohat ehmiyat hai, khana 🍲 pakanay se pehlay sab mujh se zaroor mashwara kartay hein, aur phir jo main kehta hoon woh hargiz nhi pakaya jata.
😂😂😂

2 GOLIYAN - MOST HILARIOUS SHORT JOKES

Sardar ji 👳: "Doctor 💉 sahb mujhay koi aisi dawa 💊 dein k main aankhon 👀 se bol sakon or kanon 👂 se dekh sakon."

Doctor 💉ghussay se: "Lo ye lo, 2 goliyan 💊 subh or 2 sham naak 👃 se chaba kr kha lena."

OPERATION - SHORT SARDAR JOKES

Pathan 👨: "Mara ye doctor 💉 log operation se pehlay mareez 😷 ko behosh q kr detay hein?"

Sardar ji 👳: " O ja yar, tujhay itni si baat ka bhi nhi pata? Agar mareez 😷 hosh mein rha or operation seekh gya to doctors 💉 ki to watt lag gaee na?"

GOLI - VERY FUNNY SARDAR JOKES

Sardar ji 👳 aik darakht 🌳 per ultay latkay huye thay.

Pathan: "Oye mara yeh tum kiya karti ho?"

Sardar ji: "Aray yar, sar kay dard ki goli 💊 khai hai, ulta iss liye latka hoon k goli 💊 kaheen pait mein na chali jaye."
😂😂😂

6 HAFTAY - MOST HILARIOUS SARDAR JOKES

Sardar 👳 apni bivi k sath ja rha tha, rastay mein uss ne dekha k police 🚔 uss k dost ko pakar kr lay ja rahi thi.

Sardar: "Kiya hua?"

Dost: "Bas yar main ne apni bivi 👧 ko mar diya hai, ab mujhay 6 haftay jail mein rehna parray ga...

Sardar: "Sirf 6 haftay?"

Yeh keh kr sardar ne police 👮 walay se bandooq li or apni bivi 👩 ko bhi mar diya.

Dost 👨: "Oye khoteya puri bat to sun liya kr... 6 haftay jail mein rehnay k baad mujhay phansi lag jaye gi."

Sardar 👳 ji abhi tak hosh mein nhi aaye.
Hahaha 😂😂😂

HELICOPTER - SHANDAR PATHAN JOKES

Pathan aik kapray ki dukan per gaya or bola: Mara shirt k liye kapra dikhao.
Dukandar: Plain mein dikhaon sir.....?
Pathan: Nahi Helicopter mein dikhao, khabees ka bacha kaheen ka, jidhar pathan dekha mazaq shuru...😄😄😄😂😂😂

GHADDARI - REALLY FUNNY PATHAN JOKES

Pathan wapda k chairman k office gya or bola: Namastay g, yeh bijli kab aaye gi?
Chairman: Pehlay yeh btao k tum ne mujhay namastay q kaha?
Pathan: Q k aap per salamti bhejna pooray mulk k sath ghaddari hai. 😂😁😂😁

MAKEUP - MOST HILARIOUS PATHAN JOKES

Pathan:
Yara ye aurtein itna makeup q krti hein?
Jab dekho, makeup kiya hota hai...

Sardar:
Han yar,
Koi aisa hal btao k meri bivi makeup krna chorr day.

Pathan:
Yara us ki bat  mat karo,
us per to makeup suit bhi bohat krta hai...
😂😂😂

SHUKRIYA - VERY FUNNY LAWYER JOKES

Wakeel ⚖ apni bivi se: Apnay zevraat 💍 waghera sanbhal kr rakh lo...
Bivi (herat 🤔 se): Woh kion?
Wakeel ⚖ : Darasal main ne aik chor reha krwaya hai or woh aaj ghar pe shukriya adaa krnay aa rha hai.
😂😂😂

ANDHA FAQEER - VERY FUNNY HUSBAND JOKES

Wife & husband bazar mein ja rahay thay.
Aik faqeer bola: Shehzaadi 👸 10 rupay de dein, maim andha 😎 hon.
Husband: Pesay de do, dekho tumhein shehzadi 👸 keh raha hai to zaroor andha 😎 hoga.
😂😂😂

SHADI KI FILM - VERY FUNNY HUSBAND JOKES

Husband TV Dekhtay howe zor zor se ro raha tha.
Wife: "Konsi film dekh rahay ho jo iss tarah ro rahay ho?"
Husband: "Apni shaadi ki film dekh raha hon."

MUJRA - FUNNY CHILDREN JOKES

Ek bacha ghar se maar kha kar ghussay 😡 mai School ja raha tha.
Rastay mai ek uncle ne poocha: "Beta phartay ho?"
Bacha: "Nahi, Uniform Pehn kar Mujra 💃 karnay jata hon..." 😂

MISS NAHI MISSES - COMIC JOKE

Teacher class mein lecture detay huye,
.
Teacher: "Agar irada pakka ho to jo hasil karna chaho woh zaroor mill jata hai."
,
Pappu: "Rehnay dein miss, agar aisa hota to aap meri miss nahi misses hotein."

CIVIL ENGINEERING - FUNNY ZUBAIDA AAPA JOKES

"Agar aap k bachay zyada matti khatay hein to,
.
.
.
Unhein thorri cement b khila dein to bunyad pakki ho jaye gi."

Zubaida aapa k "CIVIL ENGINEERING" walay totkay.

WINDOW - SARDAR JOKES

Sardar: Yar mujhe 1 hathora or keel chahiye computer k lye.
Sales man: Magar computer me inka kya kaam?
Sardar: Oye yaar mujhe computer me windows lagani hai.

THAPPAR KI AAWAZ - HILARIOUS JOKES

Patient to doctor: Aap ki nurse k hath lagtey hi mein theek hoogaya.
Doctor: Jee janta hoon, thappar ki awaaz yahan tak I hai!!

MISS BELL - FUNNY JOKES

Aik pathan rozana apnay parosi ki bell

baja k bhaag jata tha.

Aik din parosi ne pakarr kar poocha: Yeh kya shararat hai?

Pathan: Yeh ham misbell marta hai.

ABBAY GIN'NAY TO DE - FUNNY JOKES

Husband 2 Wife: Did u Have any boyfriend before marriage??
Wife remains silent,,,
Husband : Main is Khamoshi ko kya samjhun??
Wife : Abbay gin'nay to De‚,,,