Showing posts with label Pathan Jokes. Show all posts
Showing posts with label Pathan Jokes. Show all posts

GANDA TOWEL - VERY VERY FUNNY PATHAN JOKES

Pathan 👨: "Mara hum ko aik bat to btao zara."

Sardar ji 👳: "Pooch."

Pathan 👨: "Soap 🍥 se nahanay 🛀 k baad jab hamara jism saaf ho jata hai to phir towel kesay ganda ho jata hai?"

Sardar ji: "Towel ko woh 1% jaraseem 🐾 gandar kartay hein jo 99% jaraseem 🐾 k mar janay k baad bhi zinda reh jata hai."
😂😂😂

EHMIYAT = IMPORTANCE - REALLY FUNNY SARDAR JI JOKES

Pathan apnay dost sardar ji 👳 se bola: "Mara tumhari to ghar 🏠 mein bhi koi nhi sunta."

Sardar ji 👳: "O nhi yara, ghar 🏠 mein meri bohat ehmiyat hai, khana 🍲 pakanay se pehlay sab mujh se zaroor mashwara kartay hein, aur phir jo main kehta hoon woh hargiz nhi pakaya jata.
😂😂😂

GOLI - VERY FUNNY SARDAR JOKES

Sardar ji 👳 aik darakht 🌳 per ultay latkay huye thay.

Pathan: "Oye mara yeh tum kiya karti ho?"

Sardar ji: "Aray yar, sar kay dard ki goli 💊 khai hai, ulta iss liye latka hoon k goli 💊 kaheen pait mein na chali jaye."
😂😂😂

HELICOPTER - SHANDAR PATHAN JOKES

Pathan aik kapray ki dukan per gaya or bola: Mara shirt k liye kapra dikhao.
Dukandar: Plain mein dikhaon sir.....?
Pathan: Nahi Helicopter mein dikhao, khabees ka bacha kaheen ka, jidhar pathan dekha mazaq shuru...😄😄😄😂😂😂

GHADDARI - REALLY FUNNY PATHAN JOKES

Pathan wapda k chairman k office gya or bola: Namastay g, yeh bijli kab aaye gi?
Chairman: Pehlay yeh btao k tum ne mujhay namastay q kaha?
Pathan: Q k aap per salamti bhejna pooray mulk k sath ghaddari hai. 😂😁😂😁

MAKEUP - MOST HILARIOUS PATHAN JOKES

Pathan:
Yara ye aurtein itna makeup q krti hein?
Jab dekho, makeup kiya hota hai...

Sardar:
Han yar,
Koi aisa hal btao k meri bivi makeup krna chorr day.

Pathan:
Yara us ki bat  mat karo,
us per to makeup suit bhi bohat krta hai...
😂😂😂

MISS BELL - FUNNY JOKES

Aik pathan rozana apnay parosi ki bell

baja k bhaag jata tha.

Aik din parosi ne pakarr kar poocha: Yeh kya shararat hai?

Pathan: Yeh ham misbell marta hai.

NEELA THOTHA - FUNNY PATHAN JOKE

Pathan ka ghorra beemar ho gaya.

Wo bhaga bhaga dusray pathan k paas gaya aur poocha:

"Jab tumhara ghorra beemar hua tha to tum ne kya dawai di thi?"

Dusra pathan bola: "Ham ne us ko neela thotha khilaya tha."

Khan ne bhi apnay ghorray ko neela thotha khila dia.

Ghorra mar gaya.

Khan rota hua dusray khan k pas gaya aur uss ko bataya k ghorra mar gaya hai.

Wo bola: "To kya hua. Wo to hamara bhi mar gaya tha."

3 PATHANS - PATHAN FUNNY JOKES

3 drunk Pathans entered a taxi.
Driver: Switched on a car and switched it off.
Pathan1: Payed the fare and got out.
Pathan2: We already reached?
Pathan3: Slapped the driver & said: "Next time don't drive that fast, you are going to kill us"

BLOOD TEST - COMIC JOKES

Pathan "BLOOD" k baray mein book parh raha tha.
Wife: Aaj yeh book kion parh rahay ho ji?
.
.
.
Pathan: Mujhay Doctor ne kaha hai k kal mera "Blood" test hai, issi liey test ki tyari kr raha hoon.

SARDAR AUR PATHAN - HUMOROUS JOKES

Sardar aur phatan tent mein so raha thay.

Sardar: Tumhein kya nazar aa raha hai?

Phatan: Stars.

Sardar: Es ka kya matlab hua?

Phatan: Aaj badal nhi hein, Stars nazar aa rahay hein. Barish nahi hogi.

Sardar: U Stupid, hamara tent chori ho gaya hai.

PAKISTAN KAY SOOBAY - PATHAN JOKES

Ustaad pathan se: Pakistan k kitny soobay hay?
Pathan: (4).
Ustaad: Sahabash un k naam batao,
Pathan: Mashrik, Maghrib, Shumal, Junoob.

MOST HILARIOUS URDU JOKE - ZAHEEN PATHAN

Sardar: "Yaar mujhay Saffar mein neend nahi aati..."
.
,
.
,
.
,
"Aisa kion?".
.
.
,
,
,
.
.
.
,
,
,
Pathan: "To tum Rabi-ull-Awwal mein so jaya karo..."

MOST FUNNY URDU JOKES - PATHAN KI DOSTI

Aik pathan 2 cigarette aik saath pi raha tha,
,
,
,
Biwi: "Aaj 2 cigarette pi rahay ho, kion?"
.
.
.
Pathan: "Dost ki yaad aa rahi hai, ham dono saath piya kartay thay. Iss liye 2 pi raha hoon."
,
,
,
Kuch dino baad woh pathan 1 cigarette peenay lag gaya.
.
.
.
Biwi: "Dost ko bhool gaye ho kya?"
,
,
,
Pathan: "Aray nahi bewaqoof, main ne cigarette chorr di hai, uss ki pi raha hoon."

MOST FUNNY SARDAR'S JOKES - SALGIRAH

"Shadi ki salgirah per sardar biwi k liye 'Gulab' k phool lay aaya."
.
.
.
Biwi: "Mujhay yeh nahi chahiye, mujhay koi sonay ki cheez do."
,
,
,
Sardar: "Yeh lo 'Takiya' aur so jao."

HUMOROUS URDU JOKES - SAMAJHDAR SARDAR

Sardar: "Raat ko mujhay 1 aadmi ne chaaku dikha kar loot liya."
.
.
.
Pathan: "Lekin teray paas to pistol tha."
,
,
,
Sardar: "Woh to main ne chupa liya, warna woh bhi lay jata."

REALLY FUNNY PUNJABI JOKES - BLUETOOTH

Dost: "Oye tera 1 dand neela kiddan ho gaya?"
.
.
.
Sardar ji: "Yaar main ne ink lagaee hai."
,
,
,
Dost: "Woh kion?"
.
.
.
Sardar: "Kion k aaj kal "BLUETOOTH" bohat mashhoor ho gaya hai."

VERY FUNNY PATHAN JOKE - KUTTAY KA BACHA

Aik pathan ne gali k konay mein kachra phaink diya.
.
,
.
,
.
,
Thori dair baad ghoom phir kar gali mein aaya,
,
To,
.
Mohallay walay aapas mein larr rahay thay k kachra kis ne phainka?
.
.
.
Aik aadmi ne ghussay se kaha: "Phainka ho ga kisi kuttay k bachay ne."
.
.
,
,
,
.
.
.
,
,
,
Pathan side mein ja kar khoob hansa aur bola: "Kachra main ne phainka hai aur naam kuttay k bachay ka lagg gaya."

MOST FUNNY URDU JOKES - 1,000 RUPAY

Pathan bank mein 1,000 rupay jama karwanay gaya."
.
.
.
Cashier: "Janab! Yeh note to naqli hein."
,
,
,
Pathan: "Jama to meray account mein hoga, tujhay kya takleef hai?"

HILARIOUS URDU JOKES - JUMMAY KA KHUTBA

Pathan Jumma ki namaz parh kar ghar aaya aur khushi se biwi ko goud mein utha kar joomnay laga.
.
.
.
Biwi: "Kiya molvi sahab ne Jumma ka khutba biwi k huqooq per diya hai?"
.
.
.
Pathan: "Nahi... nahi, Molvi sahab ne kaha hai k jo shakhs duniya mein apni takleef khushi khushi uthaye ga woh seedha Jannat mein jaye ga."