Aik bohat barray kaarkhanay mein taqreeb jari thi.
.
Taqreeb k aakhir mein maalik ne taqreer kartay huey kaha: "Hamaray kaarkhanay mein naye manager ka taqarur hua hai, sab jaantay hein k hamara kaarkhana deyant aur mehnat ka zabardast sila deta hai. Agar kisi ki kaarkardagi ghair mamooli hai to woh khilaf-e-mamool tareeqay se taraqqi kar sakta hai. Hamaray naye manager ko hi daikhein. Yeh sirf cheh (6) maah pehlay hi hamari team mein shaamil huye thay lekin unhon ne apni layaqat-o-mehnat se saabit kar diya hai k woh aala martabay k ehal hein. Mujhay khushi hai k inn se kam laeq seniors peechay reh gaye hein aur yeh buland ohday tak pohnch gaye hein."
.
.
Jab maalik-e-kaarkhana taqreer kar chuka tha to naya manager apni jagah se utha aur uss ne pur josh andaz mein maalik-e-kaarkhana se haath milaya aur kehnay laga: "Dady! Bohat shukria."