JOSH-E-IBADAT - VERY VERY FUNNY URDU JOKES

Maalik makan karaye dar se karaya lenay aaya to karaye dar ne jumla shikayaat mein se aik eham shikayat ki taraf maalik ki tawajjoh mabzool karatay huye kaha: "Janab! Barray kamray ka shehteer raat k waqt karr karr ki aawazein nikalta hai, barah-e- meharbani shehteer badalwa dein."
.
.
.
Maalik makan ne karaye dar ki baat kaat'tay huye kaha: "Aap ghabraiye mat, yeh shehteer allah ki ibadat karta hai. Aap ko to khush hona chahiye k ghar mein barkat rehti hai."
.
.
.
Karaye dar ne barjasta jawab diya: "Janab! Mujhay to yeh khadsha hai k josh-e- ibadat mein itni tarrap na paida ho jaye k kaheen yeh sajday mein aa jaye."