INTAZAR - VERY FUNNY URDU JOKES

Raat gaye sepahi ne aik sharabi ko daikha jo aik deewar se taik lagaye kharra tha.
.
.
.
Sepahi ne uss se poocha: "Tum yahan kharray kya kar rahay ho?"
.
.
.
Sharabi bola: "Main ne suna hai k zameen chobees (24) ghantay mein apna chakkar mukammal karti hai, lehaza main apnay ghar ka intazar kar raha hoon. Bus woh aanay hi wala hai."
.
.
.
Sepahi ne hairat se poocha: "Tumhein kaisay pata chala?"
.
.
.
"Woh daikho mera parrosi ja raha hai." Sharabi ne aik janib ishara kartay huye jawab diya.