FUNNY URDU JOKES - ADLAY KA BADLA

Aik aadmi ne martay waqt hichkiyaan letay huye apnay dost se kaha: "Yaar! Pichlay saal tumharay aik laakh rupay ka ghaban main ne hi kiya tha aur factory k mazdooron ko tumharay khilaaf main ne hi bharrkaya tha aur pichlay maheenay..."
,
,
,
"Bus bus koi baat nahi, mujhay sab pata hai. Main bhi tumhein bata dena chahta hoon keh tumhein zahar main ne diya hai." Dost ne itminan se jawab diya.