Thanay mein phone mosool hua keh aik shakhs Habib bank plaza ki aakhri manzil tak pohnchnay
mein kamyaab ho gaya hai aur wahan se kood kar khudkushi karna chahta hai.
.
.
.
Illaqay ka S.H.O bhagam bhaag wahan pohncha aur uss shakhs ko mukhatib kartay huye bola: "Khudkushi haram hai, mat karo, apni rooh ka khayal karo keh tum to khatam ho jao gay magar tumhari rooh hamesha saza jheelti rahay gi."
.
.
.
"Main dehriya hoon." Uss shakhs ne jawab diya.
.
.
.
S.H.O: "Apni biwi aur apnay masoom bachon ka khayal karo."
.
.
.
Woh shakhs bola: "Main ghair shaadi shuda hoon."
.
.
.
S.H.O: "Apnay waldain ka khayal karo."
.
.
.
Aadmi: "Meray maa baap mar chukay hein."
.
.
.
S.H.O: "Or nahi to apnay behan bhaiyon ka socho."
.
.
.
Uss ne jawab diya: "Mera koi behan bhai nahi hai."
.
.
.
S.H.O: "Phir bhi zindagi barri qeemti hai, issay hansi khushi guzaro, ghoomo phiro, tafreeh karo."
.
.
.
Woh bola: "Ghoomnay phirnay k liye koi jaga nahi hai."
.
.
.
S.H.O: "To phir V.C.R aur dish per indain filmein daikho."
.
.
.
Jawab mila: "Indian filmon, V.C.R aur dish, teenon ka mukhalif hoon."
.
.
.
"To phir dair kis baat ki hai? Neechay chhalaang kion nahi lagatay kambakht?" S.H.O ne ghussay se daant peestay huye kaha.