YAQEEN - VERY VERY FUNNY URDU/HINDI JOKE

America mien aik fauji camp k qareeb aik shakhs mushtabah halat mein ghoomta hua pakrra gaya.
.
.
.
Ussay pooch guch k liye commanding officer k saamnay paish kiya gaya.
.
.
.
Commanding officer ne uss se poocha: "Tum koi ghair mulki ho ya American?"
.
.
.
Uss shakhs ne American honay k dawa kiya to commanding officer ne kaha: "Acha to zara hamara national anthem 'Sitaron bhara jhanda' to sunao."
.
.
.
Uss shakhs ne sharminda ho kar aitraaf kiya: "Woh to mujhay yaad nahi."
.
.
.
Commanding officer ne kaha: "Tum ja saktay ho, mujhay yaqeen aa gaya hai k tum American hi ho."