MASAEL KA HAL - HILARIOUS URDU/HINDI JOKE

Sumandar k kinaaray chehal qadmi k doran shohar ne apni biwi ko apni dukh bhari dastan sunanay k baad kaha: "Abhi na janay hamaray liye aur kitnay masael paida hon gay aur unn k hal ki koi tadbeer bhi meri samajh mein nahi aati."
.
.
.
Biwi ne yeh sun kar jawab diya: "Aap iss ki bilkul fikar mat karein kion k iss ka bilkul aasan hal meray paas mojood hai."
.
.
.
Shohar ne khush ho kar poocha: "Woh kya? Zara jaldi batao."
.
.
.
Biwi ne jawab diya: "Aap iss sumandar mein chalang laga dein. Aap k tamam masael tarjeehi buniyadon per foran hal ho jaein gay."