LENAY K DENAY - VERY VERY FUNNY URDU JOKES

Aik nan-baee ne aik wakeel se poocha: "Sarkar! Agar kisi ka kutta meri rotiyan kha jaye to uss ka harjana mujhay kya wusool karna chahiye?"
.
.
.
Wakeel ne kaha: "Do (2) rupay."
,
,
,
Nan-baee ne kaha: "Janab aap hi ka kutta aaj meri rotiyan chatt kar gaya hai. Azrah-e-karam do (2) rupay inayat farma dijiye."
.
.
.
Wakeel ne kaha: "Meray mashwaray ki fees dass (10) rupay hai, do (2) rupay tum kaat kar baqaya aath (8) rupay mujhay day do."