FIREMAN - FUNNY URDU JOKES

"Meray professor ka khayal hai k hum log baaz aoqaat doosron se barri barri tawwaqoaat wabasta kar letay hein aur jab woh tawwaqoaat poori nahi hoteen to khawh makhawh dill maila kar letay hein. Issi tarah baaz log bhi doosron ko apna bananay k liye taaray tak torr k laanay ka yaqeen dillatay hein."
.
.
.
Yeh keh kar uss ne aik larki ki taraf ishara kartay huye kaha: "Agar khuda na karay tumharay daftar mein aag lagg jaye aur tumharay boyfriend ko pata chal jaye k tum andar ho, to kya woh jalti huee imarat mein se tumhein nikalnay k liye andar kood jaye ga?"
.
.
.
"Zuroor." Larki ne jawab diya: "Mera boyfriend fireman hai."