AIK CIGARETTE - MOST HILARIOUS HINDI JOKE

Paris k aik park mein aik naujawan jorra aik ghannay kunj mein baitha raz-o-nayyaz ki batein kar raha tha.
.
.
.
Aik hindustani saiyyah ne lutf ki khatir chhup kar unn ki batein sun'nay aur unn ki harkaton ka jaeyza lenay ki thaani.
.
.
.
Larka keh raha tha: "Bus sirf aik aur."
.
.
.
Aur larki ne nafi mein sar hila diya.
.
.
.
Udhar hindustani saiyyah ka ishtiaq brabar barrh raha tha.
.
.
.
Ussay aisi baat ki tawaqqoh thi, jo uss mahol mein mumkin ho sakti thi.
.
.
.
Lekin jab larki ne larkay k musalsal israr per wazahti jawab diya to hindustani saiyyah bujh kar reh gaya.
.
.
.
Jawab yeh tha: "Ajeeb khud gharaz aadmi ho, sirf aik cigarette hi to baqi reh gaya hai. Main ghar ja kar raat k khanay k baad kya piyon gi?"