FUNNY URDU JOKES - ANGOOR

Aik saiyyah pehli martaba Pakistan aaya.
.
.
.
Aik phall ki dukan per ja kar uss ne kailay ki taraf ishara kartay huye poocha: "Yeh kya hai?"
,
,
,
Dukandar ne jawab diya: "Yeh kailay hein."
.
.
.
Saiyyah kehnay laga: "Hamaray mulk mein to dhaee dhaee foot lambay kailay hotay hein."
,
,
,
Phir uss ne saib ki taraf ishara kar k poocha.
.
.
.
Dukandar ne jawab diya: "Yeh saib hein."
,
,
,
Saiyyah jhatt se bola: "Hamaray mulk mein to paanch (5) paanch (5) kilo k saib hotay hein."
.
.
.
Phir uss ne tarbooz ki taraf ishara kiya to dukandar aajzi se bola: "Janab! Yeh angoor hein."