FUNNY URDU JOKES - ENGLISH WRITER'S DEATH

Azeen angrezi musannif H.G Wells jab sakht beemar hua aur zindagi ki koi ummeed baaqi na rahi to uss k rishtay daar, dost aur lawahiqeen ki khawhish thi keh uss k munh se kuch aisay kalimaat niklein jo bataur-e-yaadgaar hamesha yaad rakhay jaein.
.
.
.
Jab inn logon ne iss azeem writer ko baar baar tang kiya to uss ne talkh lehjay mein jawab diya: "Aap daikh nahi rahay keh main marnay mein masroof hoon?"