GAHAK - VERY FUNNY URDU JOKES

Hotel k manager ne aik waiter ko bulaya aur poocha: "Tumhari maiz number paanch (5) wala gahak aik dam se uth kar taizi se bahar kion chala gaya?"
.
.
.
"Sir! Uss ne kababon ka order diya hai." Waiter batanay laga: "Main ne ussay bataya keh qeema khatam ho gaya hai iss liye kabab taiyyar nahi hein. Agar woh kuch dair intazar kar lay to main taza qeema taiyyar karwa kar kabab banwa deta hoon. Uss ne kaha keh woh intazar kare ga. Main kitchen mein gaya to wahan aap ka kutta darwazay k qareeb hi baitha hua tha. Mera paon ghalti se uss ki dum per parr gaya. Iss per uss ne zor se cheekh maari aur gahak taizi se uth kar chala gaya."