PAANCH MINUTE - VERY VERY FUNNY URDU JOKES

Aik sahb daftar se thakay manday ghar wapas aaye.
.
.
.
Unhein sakht bhook lag rahi thi.
.
.
.
Biwi ne bataya k bus thorri dair mein khana tayyar ho jaye ga.
.
.
.
Issi intazar mein kaafi dair ho gaee magar khana saamnay na aaya to sahb ghussay se tunak kar bolay: "Begum! Iss se behtar hai khana kisi hotel mein hi ja kar kha loon."
.
.
.
Biwi ki taiz aawaz aaee: "Bus paanch (5) minute."
.
.
.
Shohar ne jall kar kaha: "Kya paanch (5) minute mein khana tayyar ho kar meray saamnay aa jaye ga?"
.
.
.
"Nahi, nahi! Paanch (5) minute mein main hotel k liye tayyar ho jaon gi." Biwi ki aawaz sunaee di.