LUTF - FUNNY URDU JOKES

Jooton ki dukan mein daakhil ho kar aik shakhs ne kaha: "Mujhay aisa joota chahiye jo meray pairon mein theek tarah se na aa sakay."
.
.
.
"Matlab aap ko khula joota chahiye?" Dukandar ne gahak k itminan ki gharz se wazahat chahi.
.
.
.
"Nahi! Mera matlab yeh hai k meray pair ka size 9 hai lekin mujhay 8 number ka joota chahiye." Gahak ne kaha.
.
.
.
Dukandar hairat se bola: "Iss qadar tang joota to aap k paon mein takleef day ga janab!."
.
.
.
Gahak thandi aah bhartay huye bola: "Yehi to main chahta hoon, amli zindagi mein saara din beesiyon (20) masaeb se wasta rehta hai. Mujhay musarrat k chand lamhay sirf uss waqt miltay hein jab main apnay jootay utarra hoon. Sahi size k jootay utartay huye mujhay zara sa lutf nahi aata."