Aik aadmi sarrak k kinaaray kinaaray ja raha tha k aik aawaz ne ussay chonka diya.
.
Koi chilla kar keh raha tha: "Ruk jao. Aik qadam bhi aagay barrhaya to maaray jao gay."
.
Woh aadmi foran ruk gaya doosray hi lamhay aik eent uss k aagay aa giri, aur woh eent lagnay se bach gaya.
.
Abhi woh do (2) hi qadam chala ho ga k phir ussay ussi aawaz ne ruknay per majboor kar diya.
.
Uss ne achanak apnay qadmon ko break laga li.
.
Agar woh zara si bhi dair karta to do (2) caron k tasadum mein maara jata.
.
Woh apni khush qismati per bohat khush tha aur uss aawaz denay walay ka shukria adaa karna chahta tha.
.
Uss ne idhar udhar daikha to aik shakhs uss k qareeb kharra muskura raha tha.
.
Aadmi: "Kya tum ne mujhay ruknay k liye kaha tha?"
.
Uss ne jawab diya: "Haan main ne hi kaha tha."
.
Aadmi: "Tum kaun ho? Meray mohsin?"
.
Woh bola: "Main naiki ka farishta hon aur tum ko har khatray se aagah karna mera kaam hai."
.
Aadmi foran bola: "Magar tum uss waqt kahan thay jab main shaadi kar raha tha?"