MAIN AKAILA HI KION - VERY FUNNY URDU JOKE

Karaya dar ne aadhi raat ko malik makan ka darwaza khatkhataya.
.
Malik makan neend se bedar ho kar darwazay per aaya to karaye dar bola: "Main iss mahinay k karaya ada nahi kar sakon ga."
.
Malik makan ghussay se bola: "Magar ye ittala denay ka kaunsa waqt hai? Tum yeh baat mujhay subh bhi to bata saktay thay."
.
Karaye dar bola: "Woh to theek hai. Magar main ne socha k iss preshani mein main akaila hi kion jagta rahon?"