LADDU - VERY VERY FUNNY URDU JOKES

Bachpan mein mujhay laddu bohat pasand thay.
.
.
.
Aik din main apni khala k saath unn k rishtay daaron k ghar gaya.
.
.
.
Thorri dair baad khala k rishtay daar ne apnay barray betay se poocha: "Beta! Laddu kahan hai?"
.
.
.
Laddu ka naam suntay hi meray munh mein pani bhar aaya aur main be-chaini se laddu'on ka intazar karnay laga.
.
.
.
Itnay mein aik gol matol sa larka kamray mein daakhil hua to khala ki aik door ki behan ne kaha: "Aray beta Laddu! Tum kahan thay? Tumhein bhai jaan bula rahay hein."