AIK BOTTLE AUR - FUNNY URDU JOKES

Aik sharabi itna bala nosh tha k paisay na honay ki wajah se aik roz nashay ki jhonk mein uss ne apni biwi ko bhi aik bottle sharab k iwazz baich diya.
.
.
.
Aglay roz ussay udas, be-qarar aur preshan daikh kar uss k parrosi ne kaha: "Ab tumhein pachtawa ho raha hai k biwi jaisi nemat ko kho kar tum ne apnay aap per zulm kiya hai."
.
.
.
Sharabi ne jawab diya: "Haan! Uss k na honay se main bohat udas hoon, kion keh agar woh hoti to main aik bottle aur lay sakta tha."