DOOSRA KHAWAND - REALLY FUNNY URDU JOKES

Qabristan mein aik shakhs ghutnon k ball kharra aik kutbay ko pakrray dharrein maar maar kar ro raha tha.
.
.
.
"Tum kion mar gaye. Haye meray naseeb phootay thay, tumhein nahi marna chahiye tha. Tum agar na martay to tumhara kya bigarr jata?"
.
.
.
Qareeb se aik shakhs guzar raha tha, uss aadmi ko dharrein maar maar kar rotay daikh kar ruk gaya aur kehnay laga: "Sabar karo! Lagta hai tumhara koi bohat hi pyara rishtadar tha."
.
.
.
"Nahi yeh meri biwi ka pehla khawand tha." Doosray ne dharrein maartay huye jawab diya.