DILL HI DILL MEIN - REALLY FUNNY URDU JOKES

Aik fauji rangroot apnay afsar ki sakhti ki wajah se uss se bohat tang tha.
.
.
.
Lekin kya karta, woh afsar tha.
.
.
.
Aik din uss ne apnay ghussay ko nikalnay k liye apnay afsar se poocha: "Agar main aap ko gadha kahon to aap kya karein gay?"
.
.
.
Afsar ne ghussay se jawab diya: "Main tumhara court martial kara don ga."
.
.
.
Rangroot: "Aur sir... Agar main dill hi dill mein aap ko gadha kahon to phir aap kya karein gay?"
.
.
.
"Phir... Phir to main kuch nahi kar sakta." Afsar ne jawab diya.
.
.
.
 Rangroot: "To janab... Phir main apnay dill mein soch raha hoon k aap gadhay hein."