7 BAJJ CHUKAY HEIN - HILARIOUS URDU JOKE

Aik shohar apni biwi se naraz ho jata hai aur bol chaal band kar deta hai.,
,
,,
,,,
Aik din uss ne jaldi uthna hota hai. Woh apni biwi k sarhanay aik chit likh kar rakh deta hai k mujhay subh 7 bajay utha dena."
.
..
...
Subh jab uss ki aankh khuli to 7:30 bajj chukay thay, ussay barra ghussa aaya k achanak uss ki nazar aik chit par parri jo uss k sarhanay parri thi, uss pe likha tha: "Uth jaiye 7 bajj chukay hein."