60 MAHEENAY - REALLY FUNNY URDU JOKES

Adaalat mein aik muqaddamay ki sama'at k doran judge ne mulzima se uss ki umar k baaray mein sawal kiya.
.
.
.
Larki ne jawab denay mein pas-o-paish ki to judge ne ussay mutnabeh kiya: "Daikho tum adaalat mein kharri ho, tumhein saaf saaf baat batani chahiye k tumhari asal umar kitni hai aur haan yeh bhi khayal rahay k jo kuch bhi kaho gi, sach kaho gi kion keh tum ne sach kehnay ka halaf utha rakha hai. Haan to tumhari umar kitni hai?"
.
.
.
Larki: "32 saal aur kuch maheenay."
.
.
.
Judge: "Kuch ka kya matlab hai? Saaf saaf kaho kitnay maheenay?"
.
.
.
Larki: "60 maheenay."