VERY VERY FUNNY URDU JOKES - GHALTI

Aik madari majma lagaye tamasha kar raha tha.
.
Uss k saamnay khuli karrahi mein aik batakh bohat saleeqay se dance kar rahi thi.
.
Aik circus ka maalik udhar se guzra.
.
Uss ne nachnay wali batakh daikhi to socha keh batakh khareedi jaye.
.
Circus mein log nachnay wali batakh ko daikh kar bohat khush hon gay.
.
Uss ne madari se batakh ki qeemat poochi to uss ne dass hazaar (10,000) rupay bataee.
.
Circus k maalik ne bhao tao kar k batakh paanch hazaar (5,000) rupay mein khareed li aur khushi khushi chala gaya.
.
Doosray din woh aaya aur aatay hi madari ka gareban pakarr kar bola: "Oya faradiye! Teri batakh ne nachna band kar diya hai, meray paisay wapas kar."
.
Madari ne kaha: "Janab! Sawal hi nahi paida hota keh batakh na nachay, zuroor aap se koi ghalti huee hogi."
.
Circus walay ne kaha: "Main ne bharay circus mein batakh ko karrahi mein chhorra aur uss ne aik qadam bhi nahi uthaya. Meri barri be-izatti huee hai."
.
Madari ne kaha: "Janab! Be-izatti ko chhorrein, ghalti ki baat krein."
.
Circus k maalik ne kaha: "Kya ghalti huee hai mujh se?"
.
Madari ne jawab diya: "Aap ne karrahi k neechay aag jo nahi lagaee thi, batakh kaisay nachti?"