VERY FUNNY URDU JOKES - MERI SAAS

"Aaj meri saas aa rahi hai, do (2) haftay qayam ka irada hai uss ka..." Maalik ne naukar ko batatay huye saas ki pasand k khanon k fehrist thama di.
.
.
.
"Ji sahb ji! Main samajh gaya. Aaj hi se fehrist k mutabiq amal hoga." Naukar mustaiddi se bola.
.
.
.
"Kaisa amal?" Maalik ne poocha.
.
.
.
"Yehi k iss fehrist k mutabiq khanay taiyyar kiya karon ga." Naukar ne foran jawab diya.
.
.
.
"Bewaqoof! Agar iss fehrist mein se aik bhi khana paka to main tumhein naukri se nikaal don ga." Maalik ghussay se bola.