Aik khatoon ne aik mahir-e-nafsiyaat se rabta qayam kiya aur apni zehni preshaniyon ka illaj
chaha.
.
Uss k halaat jan kar aur deegar baton k illawa mahir-e-nafsiyaat ne faisla kiya keh uss khatoon k khawbon ka tajzia kiya jaye.
.
Chunaancheh har roz woh khatoon uss mahir-e-nafsiyaat k paas aati aur guzishta shab k khawbon ki tafseelaat batati, jinn ka woh mahir-e-nafsiyaat tajzia karta aur uss ki zehni uljhanon ko door karnay ka hal sochta.
.
Aik din woh khatoon uss mahir-e-nafsiyaat k paas pohnchi to bataya keh guzishta shab to uss ne koi khawb hi nahi daikha.
.
Iss per mahir-e-nafsiyaat ne qadray na-pasandeedgi k lehjay mein kaha: "Daikhiye khatoon! Agar aap apna home work kar k nahi aaein gi to main aap ki koi madad nahi kar sakon ga."