Aik sahb ne hawaee jahaz ka safar kiya.
.
Raastay mein unn ka samaan kaheen idhar udhar ho gaya jo khaasi preshani k baad mila.
.
Unhon ne ghussay mein aa kar fizaee company k chairman ko aik shikayati khat likha, lekin uss waqt unn ka ghussa herat aamaiz musarrat mein tabdeel ho gaya jab unhein mutalliqa chairman ka jawabi khat mila jiss mein uss ne mutalliqa qusoorwar afraad ki go-shumali ka wada kiya tha aur apni company k jahaz per safar karnay k liye inn ka dill ki gehraiyon se shukria ada kiya aur yaqeen dilaya ke aaenda unhein kisi qisam ki preshani nahi hogi.
.
Aakhir mein aik martaba phir muafi chahi gaee.
.
Khat parrh kar woh sahb bohat khush huye.
.
Khat dobara lifafay mein daaltay huye unn ki nazar aik chit per parri jo keh lifafay k aik konay mein parri thi.
.
Ussay nikal kar parrha to likha tha: "Iss ghaday ko samaan ki gumshudgi wala khat bhijwa do, ba-hukam: Chairman."