Aik aadmi parindon ki dukan mein bataur salesman kaam kar raha tha.
.
.
.
Parinday farokht karnay k illawa yeh baat bhi uss k faraez mein shaamil thi k woh apnay moazziz gahakon k paaltu parindon k paron ko sanwaray aur chamkaye takeh woh mazeed khoobsurat dikhaee denay lagein.
.
.
.
Aik roz aik udhair umar khatoon apna tota lay aaeen.
.
.
.
Woh uss totay k par sanwaar raha tha keh uss kambakht ne saleman ka angootha zor se kaat khaya.
.
.
.
Beshakta uss k munh se halki si cheekh nikli.
.
.
.
Uss ne ba-mushkil apnay ghussay per qaabu paya aur unn gaaliyon ko rok liya jo woh uss totay ko dena chah raha tha.
.
.
.
Dukan mein aik bad-zuban tota bhi tha jissay uss k maalik ne kaee gaaliyaan sikha rakhi theen.
.
.
.
Woh shareer tota uss lamhay gaaliyaan baknay laga.
.
.
.
Uss totay ki uss bad tameezi per woh udhair umar khatoon se mazrat chahnay laga magar uss khatoon ne haath k isharay se rok diya aur muskura kar boleen: "Mera khayal hai keh aap jo kuch kehna chahtay thay woh iss shareer totay ne keh diay hai."