MARDON WALI BAAT - HILARIOUS URDU JOKE

Aik kisaan apnay khait mein hall jot raha tha.
.
Aik geedarr ne dekh kar poocha: "Tum kya kar rahay ho?"
.
Kisaan ne kaha: "Main fasal tayyar kar raha hoon."
.
Geedarr ne kaha: "Jab fasal tayyar hogi to main fasal ujarr don ga."
.
Kisaan ne jawab diya: "Main khaiton k gird baarrh laga don ga."
.
Geedarr bola: "Main baarrh k neechay se andar daakhil ho jaon ga."
.
Kisaan bola: "Main fasal k gird deewar kharri kar don ga."
.
"Phir tum andar kaisay jao gay?" Geedarr ne poocha.
.
Kisaan preshan sa ho gaya aur kuch dair sochnay k baad bola: "Main deewar mein aik darwaza banaon ga aur darwazay k bahar charpaee per baith kar khud khait ki hifazat karon ga."
.
Geedarr bola: "Jab tum so jao gay to main khait mein daakhil ho jaon ga aur tumhari fasal ko tabah kar don ga."
.
Achanak kisaan ko yaad aaya k geedarr kuttay se bohat darta hai. Chunancheh uss ne foran kaha: "Main khait ki hifazat k liye kutta paal lon ga."
.
Yeh sunn kar geedarr ka rang khouf se mutghaiyyar ho gaya aur uss ne kaha: "Brother! Phir to yeh mardon wali baat na huee na."