UMAR - FUNNY URDU JOKES

Aik Bollywood filmi adakara kissi risaalay mein apna interview parrh kar buri tarah ghussay ho rahi thi: "Maloom nahi kaun inn nau-umar larrkon ko sahafi bana deta hai, bhala batao main ne iss ko apni umar tees (30) saal bataee thi aur iss nay chalees (40) saal likh di hai."
.
.
.
Adakara ka shohar jo kaafi dair se apni biwi ki batein sun raha tha aakhir ukta kar bola: "Begum! Iss mein itnay ghussay wali kaun si baat hai? Ab bhi to uss ne tumhari umar dass (10) saal kum hi likhi hai."